CLICK HERE FOR BLOGGER TEMPLATES AND MYSPACE LAYOUTS »

Wednesday, October 17, 2007

A Poem On Mera chaman


woh ek chaman hai khaar bhi jiska hai khubru
woh ek chaman hai jo har gul ki hai aarzu
woh ek chaman hai khushbu jiski hai chaar su
woh ek chaman hai jo har chaman ki hai aabru.

ham aligarh ko haseen gulshan kahte hain

woh maikhana hai banTti hai jahan ilm ki sharaab
jhoomte hain pee ke wahan deewane behisaab
har sharaabi wahan ka hai ek tahzeeb ki kitaab
peeta raha wahan jo bahar hai saaqi-e-kaamyaab

ham aligarh ko ilm ka watan kahte hain

woh jagah hai noor-e-ilm nawazne ka jahan intezaam hai
wahan har kisi ka aftab, mahtab ya sitaron me naam hai
unchaa suraiyya se wahan ke har taare ka muqaam hai
is baat ka charchaa to mehfil-e-anjum me aam hai

ham aligarh ko noor ka watan kahte hain

woh lau hai jiski chamak ka shaahid raha zamana
sikhlata raha zamane ko mohabbat jiska deewana
mashhoor hai zamane me unki betaabi ka afsana
zindagi paata hai jis me jal jal ke parwana

ham aligarh ko shama-e-roshan kahte hain

Mansoor Hasan Khan
SSSC (10+2)'2000
Bangalore
()+919886058025

0 comments: